Page 2 of 2
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 10 Apr 2025, 14:42
by The Founder
MURSHIDA LYRICS – Begum Jaan | Arijit Singh
Na na…
Pehli shart judaai hai
Ishq bada harjaai hai
Dil pe kisne dastak di
Tum ho ya tanhaai hai
Tujhe bhoole baithe the
Phir se teri yaad aayi hai
Dil pe kisne dastak di
Tum ho ya tanhaai hai
Murshida, murshida, murshida…
Al-madad dosta murshida..
Alvida, alvida, alvida…
Alvida dosta alvida…
Sookhe phool hain hathon mein
Pyaar ka mausam chaaha tha
Usne zakhm diye humko
Jis se marham chaaha tha
Jis se marham chaaha tha
Abke oas ki boondon ne
Dil mein aag lagayi hai
Dil pe kisne dastak di
Tum ho ya tanhaai hai
Murshida, murshida, murshidaa…
Al-madad dosta murshida..
Alvida, alvida, alvida..
Alvida dosta alvida..
Pal pal banjar, banjar hai
Aaj bhi teri khwahish hai
Tujhse mile ye kismat thi
Tujhse bichhadna saazish hai
Tujhse bichhadna saazish hai
Jiske sapne dekhe the
Usne neend udaai hai
Dil pe kisne dastak di
Tum ho yaa tanhaai hai
Murshida, murshida, murshida..
Al-madad dosta murshida..
Alvida, alvida, alvida..
Alvida dosta alvida.. (x2)
Murshida, murshida, murshida..
Al-madad dosta murshida..
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 10 Apr 2025, 14:43
by The Founder
Hamari Adhuri Kahani Lyrics – Arijit Singh
Paas aaye..
Dooriyaan phir bhi kam
Na huyi.. Ek adhuri
Si humari kahaani rahi
Aasmaan ko zameen
Yeh zaroori nahi
Jaan le.. jaan le..
Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi
Manzilein manzilein..
Rang thhe noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha
Yeh jahaan…
Waqt ke reet pe
Kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya
Tu kahaan..
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani..(2x)
Khushbun se teri
Yunhi takra gaye
Chalte chalte
Dekho na hum kahaan aa gaye
Jannatein agar yaheen
Tu dikhe kyun nahin
Chaand sooraj sabhi, hai yahaan
Intezar tera, sadiyon se kar raha
Pyasi baithi hai kab, se yahaan
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. (2x)
Pyaas ka yeh safar
Khatam ho jayega
Kuch adhura sa joh tha
Pura ho jayega
Jhuk gaya aasmaan
Mil gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka sama
Doliya hain saji
Khushbuein har kaheen
Padhne aaya Khuda khud yahaan
Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. (2x)
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 16 Apr 2025, 13:53
by The Founder
Arijit Singh Lyrics
"Ae Dil Hai Mushkil"
(from "Ae Dil Hai Mushkil" soundtrack)
Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Tu mera khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil
Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera
Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaj manzil ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar, safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 16 Apr 2025, 13:53
by The Founder
Arijit Singh Lyrics
"Chhod Diya"
(from "Baazaar" soundtrack)
Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Tod diya wo aaina
Jis aaine mein tera aks dikhe
Main shehar mein tere
Tha gairo sa
Mujhe apna koyi na mila
Tere lamhon se
Mere jakhmon se
Ab toh main door chala
Rukh na kiya unn galiyon ka
Jin galiyon mein teri baatein ho
Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Main tha musafir raahan ka teri
Tujh tak mera tha daayara
Main tha musafir raahan ka teri
Tujh tak mera tha daayara
Main bhi kabhi tha mehbar tera
Khanabadosh main ab thehra
Khanabadosh main ab thehra
chhoota nahi unn foolon ko
Jin foolon mein teri khusboo ho
Ruth gaya unn khwaabon se
Jin khwaabon mein tera khwaab bhi ho
Kuchh bhi na paya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kuchh bhi na paya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kaagaz ka boshida ghar tha
Bheegte baarish mein beh gaya
Bheegte baarish mein beh gaya
Dekhun nahi uss chaandni ko
Jis mein ke teri perchhayi ho
Door hoon main in hawaaon se
Ye hawa tujhe chhoo ke bhi aayi na ho
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 16 Apr 2025, 13:54
by The Founder
Arijit Singh Lyrics
"Ruaan"
(from "Tiger 3" soundtrack)
Harjaai ankhiyan alsayi ankhiyan
Ankhiyon se loote yaar tu
Harjaai ankhiyan alsayi ankhiyan
Ankhiyon se loote yaar tu
Baaton ke dhaage mithe se laage
Misri si toote yaar tu
Ishq gehra mera
Tujhpe pehra mera
Raahon mein hai maana
Dhuaan hi dhuaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ruaan ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Hmm hmm...
Maine pehle jo tujhse kahi na
Keh raha hai dil wahi na
Haq bhi tujhpe shaq bhi tujhpe
Mujhko toh sudh-budh rahi na
Tu jo dikhe kya hai wahi na
Dil mein uljhan hai yahi na
Tu wahi hai main wahi hoon
Par yeh duniya woh rahi na
Tu badal deti hai mausam
Zakhm tu hai tu hai marham
Dekh tujhpe hi dobaara
Yaar mar jaaun kahi na
Aag sulge chahton ki
Raah mein sab rahton ki
Yaara hai tere nishaan hi nishaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ruaan ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Hath tere nu chhadd ditta je main
Ankhiyan ch hanju bharne
Hath tere nu chhadd ditta je main
Ankhiyan ch hanju bharne
Hmm hmm...
Mera ruaan ruaan
Ab tere naa likhna
Re: Arijit Singh Lyrics, Songs, and Albums...
Posted: 16 Apr 2025, 14:01
by The Founder
Amaal Mallik & Arijit Singh Lyrics
"Zaroorat Se Zyada"
(from "Vedaa" soundtrack)
Tu jaane na jaane, hain tere deewaane
Tujh hi ko hai maana sanam
Tere paas aane ke dhoondhoon bahaane
Zara tu badha ek qadam
Kya dil chaahta hai, na poocho humein tum
Bas itna pata hai, kisi ke nahin honge hum
Zaroorat se zyada hua main tumhara
Haan, ab pyaar hoga na kam
Bana na sakein jo tumhein hum humara
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Dard baante saath mein, saath baanti har khushi
Aaj bhi honthon pe hain tune di thi jo hansi
Kuchh tere ehsaas ki, kuchh teri aawaaz ki
Khushbuyein maujood hain aaj bhi mujh mein kahin
Dhadkate rahoge mere dil mein har-dum
Magar baat sach hai, jahaan tu ruka, main khatam
Zaroorat se zyada hua main tumhara
Haan, ab pyaar hoga na kam
Bana na sakein jo tumhein hum humara
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Kuchh batana tha tumhein, jo kabhi na keh saka
Aane mein deri huyi, main zara hi door tha
Ek adhoore mod pe reh gaya yeh silsila
Ab usey samet le jo bhi baaqi hai bacha
Mujhe muskuraana sikhaate-sikhaate
Bata de, kahaan tu chala chhod ke aankhein nam?
Zaroorat se zyada hua main tumhara
Haan, ab pyaar hoga na kam
Bana na sakein jo tumhein hum humara
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam
Toh lenge dobara janam