Nadeem Sarwar All Nohay Lyrics

Lets Chat Personal Life and etc..
Post Reply
User avatar
Zaam
Feed Hunter
Feed Hunter
Posts: 847
Joined: 15 May 2022, 21:37
Has thanked: 358 times
Been thanked: 179 times
Contact:
Ireland

Nadeem Sarwar All Nohay Lyrics

#1

Post by Zaam »

Ek shor hai..
Abbas hai abbas..(2)
Ek shor hai
Abbas hai abbas..(2)

Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara
Abbas hai abbas..(2)
Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara
Lalkar ke phir fauj ko ghazi ye pukara
tum sab yehi kehte the ke dariya hai humara
ab dekho ke dariya hai humara ke tumhara
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(4)

abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)

1. Mai haider e qarrar ke saaye me pala hu
mai fatima zahra ki duao ka sila hu
abbas mera naam alamdar e wafa hu
ye naam o nasab hai meri qismat ka sitara
dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)

2. Aaqa ki duao ka karam saath hai mere
dekho bani hashim ka hasham saath hai mere
rutba hai alamdar alam saath hai mere
lehrake farera bhi ye karta hai ishara
dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)

3. Sahil pe jo ye fauj ke daste hai tumhare
ek aan mein paywand e zamee'n ho abhi saare
dariya ulat aaye abhi qadmo'n me humare
ek hashr bapa kardu mai kardu jo ishara
dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)

4. Khat bhej ke tumne jinhe yasrab se bulaya
mehman the lekin unhe dariya se hataya
pyaase hi rahe wo unhe paani na pilaya
Allah ne jinke liye kausar ko utara
dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)

5. Ye hukm hai aaka ka na talwar uthana
warna meri zarbo se larazta ye zamana
ye fauj e jafakaar ye zalim ka thikana
ek naize se naqsha hi badal jayega saara
dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)

6. Kya fauj ki tadaad batate ho hume tum
hum dekhe ke kis tarha hatate ho hume tum
kis hakim o jabir se darate ho hume tum
ab naam na lena kisi hakim ka dobara
dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)

7.Pyaasa hu magar sunle sabhi dushman e jaani
paani mujhe peena nahi lejana hai paani
haye mere masoomo ki wo tishna dahani
hai mashk e sakina unhi pyaaso ka sahara
dariya hai humara..(2)

lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)

8. Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(2)
Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar
Ab bhi hai tarayi ki zamee'n par wo dilafgar
wo dekh zara roza e abbas e alamdar
ek zinda gawahi hai ye marqad ka nazara
dariya hai humara..(2)

abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
Ek shor hai..
dariya hai humara..(2)
Ek shor hai..
dariya hai humara..(2)


User avatar
Zaam
Feed Hunter
Feed Hunter
Posts: 847
Joined: 15 May 2022, 21:37
Has thanked: 358 times
Been thanked: 179 times
Contact:
Ireland

Re: Nadeem Sarwar All Nohay Lyrics

#2

Post by Zaam »

Zamana Tumhara Ya Hussain Lyrics


Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain

Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain


Zikar Hai Tumhara Maula, Zikar Hai Tumhara
Dekho Ya Hussain Saara Jagh Hai Tumhara

Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain

Jagh Hai Tumhara Maula, Jagh Hai Tumhara
Dekho Ya Hussain Saara Jagh Hai Tumhara

Jo Sadaaye Hal Min Jo Kal Goonj Rahi Thi Sehrā Mein
Jo Sadaaye Hal Min Jo Kal Goonj Rahi Thi Sehrā Mein

Aaj Talak Sadiyon Se Wohi Goonj Rahi Hai Duniya Mein
Aaj Talak Sadiyon Se Wohi Goonj Rahi Hai Duniya Mein

Aap Akele The Maula
Aap Akele The Maula
Ab Saari Duniya Saath Mein Hai
Saath Hi Aisa Ab Sab Ka Jeena Marna Saath Mein Hai

Ya Maula Ya Hussain

Saara Zamana Haan Ye Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain,
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Saara Zamana Haan Ye Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Ye Zameen-O-Aasman
Keh Rahi Hai Har Zuba
Keh Raha Hai Har Nazara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Maula Ya Hussain

Hussain Hussain
Maula Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain

Roz-E-Ashoora, Laakhon Mein Tanha
Hussain Hum Ko Bula Rahe The
Hal Min Ka Naara Hai, Ye Ishara
Hussain Sab Ko Jaga Rahe The
Zinda Raha Hai, Zinda Rahega
Hal Min Ka Naara, Hussain Ka
Har Dil Ki Dua, Har Lab Pe Sada
Ye Khazana Hai Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Saara Zamana, Ye Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Ya Imam e Do Jahan
Sheh Sawar e Karwan
Tum Jahan Ho Ham Wahan
Ya Hussain
Hum Sab Ka Hai Naara Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Bolo Hussain Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

Kal The Akele Karbala Mein
Hussain Koi Na Tha Tumhara
Aur Aaj Aalam Pukarta Hai
Hussain Hamara
Hussain Hamara
Badla Hai Kaisa Dekho Nazara
Har Dil Thikana Hussain Ka
Tum Pe Bola Subh-O-Shaam Saari Qaumon Ka Salam
Sab Ne Mil Ke Hai Pukara Ya Hussain

Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Saara Zamana, Ye Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain
Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Ye Zameen-O-Aasmaan
Keh Rahi Hai Har Zuba
Keh Raha Hai Har Nazara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Ya Hussain

Hussain Hussain Hussain
Maula Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain

Karoron Dil Hain Jo Aaj Maula
Tumhari Jaanib Rawa Dawa Hai
Labbaik Maula Labbaik Maula
Yahi Sadaaye Zubaan Zubaan Hai
Har Karwan Mein, Har Ek Zuban Mein
Naam Aa Raha Hai Hussain Ka
Sab Ka Pyara Ya Hussain
Sab Ka Naara Ya Hussain
Har Zamana Hai Tumhara Ya Hussain

Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Ya Imam e Do Jahan
Sheh Sawar e Karwan
Tum Jahan Ho Ham Wahan

Yeh Goonjega, Yeh Goonjega
Yeh Goonjega, Yeh Goonjega
Yeh Goonjega, Yeh Goonjega
Yeh Goonjega, Yeh Goonjega

Naam Hussain Ka Goonjega
Naam Hussain Ka Goonjega
Naam Hussain Ka Goonjega

Sab Galiyon Mein, Sab Raahon Mein
Sab Shehron Mein, Maidanon Mein
Dil Ki Dhadkan Mein, Dhadkan Mein
Ghar Ghar Mein, Aangan Mein
Sehraon Mein Dariyaon Mein,
Sab Zahnoo Mein
Haan Ranjoo Mein,
Baaton Mein
Naam Hussain Ka Goonjega

Saara Zamana, Ye Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain
Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain

Ye Zameen-O-Aasmaan
Keh Rahi Hai Har Zuba
Keh Raha Hai Har Nazara Ya Hussain
Tum Akele Nahin Ho Ya Hussain
Ya Hussain

Hussain Hussain
Maula Hussain Hussain Hussain
Maula Maula Hussain Hussain Hussain

Salaam Tum Par Janabe Zainab
Hussain Ban Kar Dikhaya Tumne
Qadam Qadam Par Suna Ke Khutbe
Hussainiyat Ko Barhaya Tumne
Noha Sunaya, Maatam Karaya
Parcham Uthaya Hussain Ka
Kabhi Bazar, Kabhi Darbar
Bibi Zainab Ne Pukara Ya Hussain

Tum Akele Nahi Ho Ya Hussain
Tum Akele Nahi Ho Ya Hussain
Saara Zamana Haan Yeh Saara Zamana Hai Tumhara Ya Hussain
Tum Akele Nahi Ho Ya Hussain

Ya Imam e Do Jahan
Sheh Sawar e Karwan
Tum Jahan Ho Ham Wahan
Ya Hussain
Hum Sab Ka Hai Naara Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Hussain Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain

Kya Bawafa The Hussain Wale
Jo Karbala Mein The Paara Paara
Sadaaye Hal Min Woh Sun Rahe The
Hussain Ka Tha Yeh Istegasa
Abbas Aao Mujhko Sambhalo
Koi Raha Na Hussain Ka
De Shaheedon Ne Sada Tum Pe Ho Jaaye Fida
Mile Jaan Jo Dobara Ya Hussain

Tum Akele Nahi Ho Ya Hussain

Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain
Maula Ya Hussain

Tum Akele Nahi Ho Ya Hussain

Zikar Hai Tumhara Maula, Zikar Hai Tumhara
Dekho Ya Hussain Saara Jagh Hai Tumhara

Haazir Hai, Haazir Hai Maula
Pursa Lo Pursa Hamara
Har Dil Mein Hai Ghum Tumhara Ya Maula
Hum Na Bhoolenge Karbala
Hum Na Bhoolenge Ashoora
Raahe Ga Sada Yeh Naara Maula Maula Hussain Maula
Raahe Ga Sada Yeh Naara Maula Maula Hussain Maula

Haazir Hai, Haazir Hai Maula
Haazir Hai, Haazir Hai Maula
Maula Hai, Haazir Hai Maula


Galati maaf or correction karwa dijye ga Thanks

Written by: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffri


Post Reply
  • Similar Topics
    Replies
    Views
    Last post

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 2 guests